is se pahle ki mujhe waqt alahida rakh de
is se pahle ki mujhe vaqt alāhida rakh de
mere hoñToñ pe mire naam kā bosa rakh de
halq se ab to utartā nahīñ ashkoñ kā namak
ab kisī aur kī gardan pe ye duniyā rakh de
raushnī apnī shabāhat hī bhulā de na kahīñ
apne sūraj ke sirhāne mirā saaya rakh de
tū kahāñ le ke phiregī mirī taqdīr kā bojh
merī palkoñ pe shab-e-hijr ye taarā rakh de
mujh se le le mire qistoñ pe ḳharīde hue din
mere lamhe meñ mirā saarā zamāna rakh de
ham jo chalte haiñ to ḳhud bantā chalā jaatā hai
laakh miTTī meñ chhupā kar koī rasta rakh de
ham ko āzādī milī bhī to kuchh aise 'nāsik'
jaise kamre se koī sehn meñ piñjra rakh de
is se pahle ki mujhe waqt alahida rakh de
mere honTon pe mere nam ka bosa rakh de
halq se ab to utarta nahin ashkon ka namak
ab kisi aur ki gardan pe ye duniya rakh de
raushni apni shabahat hi bhula de na kahin
apne suraj ke sirhane mera saya rakh de
tu kahan le ke phiregi meri taqdir ka bojh
meri palkon pe shab-e-hijr ye tara rakh de
mujh se le le mere qiston pe KHaride hue din
mere lamhe mein mera sara zamana rakh de
hum jo chalte hain to KHud banta chala jata hai
lakh miTTi mein chhupa kar koi rasta rakh de
hum ko aazadi mili bhi to kuchh aise 'nasik'
jaise kamre se koi sehn mein pinjra rakh de
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 10.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.