is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le
is se pahle ki sahāroñ ko tū aadat kar le
dil baġhair us ke sambhalne kī bhī himmat kar le
fan-e-yakjā.ī kā māhir koī aa.e tab tak
hai koī jo mire TukḌoñ kī hifāzat kar le
kitnā saada hai tū is meñ bhī razā chāhtā hai
mujh ko barbād karegā hai ijāzat kar le
niiñd ne maan liyā jo mirī āñkhoñ ke ḳhilāf
tere ḳhvāboñ ne kahā thā ki baġhāvat kar le
kitnā āsāñ hai hunar aañkh kī dushvārī kā
zindagī bhar jise ronā ho mohabbat kar le
is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le
dil baghair us ke sambhalne ki bhi himmat kar le
fan-e-yakjai ka mahir koi aae tab tak
hai koi jo mere TukDon ki hifazat kar le
kitna sada hai tu is mein bhi raza chahta hai
mujh ko barbaad karega hai ijazat kar le
nind ne man liya jo meri aankhon ke KHilaf
tere KHwabon ne kaha tha ki baghawat kar le
kitna aasan hai hunar aankh ki dushwari ka
zindagi bhar jise rona ho mohabbat kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.