is se pahle ki sar-e-KHak main muhmal ho jaun
is se pahle ki sar-e-ḳhāk maiñ muhmal ho jā.ūñ
yuuñ jalāo ki kisī aañkh kā kājal ho jā.ūñ
mujh ko mat chhoḌ ki hoñ terī hī quvvat pe savāl
vaar kar itnā kam-az-kam ki maiñ ghāyal ho jā.ūñ
mujh ko jiine hī nahīñ dete mire hosh-o-havās
tū du'ā kar ki kisī tarh maiñ pāgal ho jā.ūñ
ik pahelī huuñ mujhe soch bhale jaisā soch
chāhtā huuñ ki kisī tarh se maiñ hal ho jā.ūñ
soch agar phūTne lag jaa.eñ badan se shāḳheñ
aur maiñ dekhte hī dekhte jangal ho jā.ūñ
saañs letā huā ye jism adhūrā hai mirā
tū agar haath lagā de to mukammal ho jā.ūñ
pyaar ab bhī hai tujhe mujh se is ik jhūTh se maiñ
ḳhud ko phuslātā huuñ varna to maiñ pāgal ho jā.ūñ
is se pahle ki sar-e-KHak main muhmal ho jaun
yun jalao ki kisi aankh ka kajal ho jaun
mujh ko mat chhoD ki hon teri hi quwwat pe sawal
war kar itna kam-az-kam ki main ghayal ho jaun
mujh ko jine hi nahin dete mere hosh-o-hawas
tu du'a kar ki kisi tarh main pagal ho jaun
ek paheli hun mujhe soch bhale jaisa soch
chahta hun ki kisi tarh se main hal ho jaun
soch agar phuTne lag jaen badan se shaKHen
aur main dekhte hi dekhte jangal ho jaun
sans leta hua ye jism adhura hai mera
tu agar hath laga de to mukammal ho jaun
pyar ab bhi hai tujhe mujh se is ek jhuTh se main
KHud ko phuslata hun warna to main pagal ho jaun
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 100)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.