is se pahle to pur-yaqin bhi na the
is se pahle to pur-yaqīñ bhī na the
par gumāñ dil meñ jāguzīñ bhī na the
dil to maujūd thā vahīñ pe magar
aur ham jism meñ kahīñ bhī na the
tere aane se peshtar duniyāñ
ham yahāñ ke kabhī makīñ bhī na the
tum ko dekhā to ho ga.e raushan
varna chehre pe mah-jabīñ bhī na the
tum ne to āsmāñ kahā hai hameñ
yaar ham log to zamīñ bhī na the
ham ne 'ātif' gumāñ ziyāda kiyā
log apne magar hasīn bhī na the
is se pahle to pur-yaqin bhi na the
par guman dil mein jaguzin bhi na the
dil to maujud tha wahin pe magar
aur hum jism mein kahin bhi na the
tere aane se peshtar duniyan
hum yahan ke kabhi makin bhi na the
tum ko dekha to ho gae raushan
warna chehre pe mah-jabin bhi na the
tum ne to aasman kaha hai hamein
yar hum log to zamin bhi na the
hum ne 'atif' guman ziyaada kiya
log apne magar hasin bhi na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.