is se pahle tujhse behtar aa jae
is se pahle tujh se behtar aa jaa.e
chāhūñgā tū ḳhud se chal kar aa jaa.e
chīḳhūñ puurā zor lagā kar naam us kā
vo apnī tasvīr se bāhar aa jaa.e
sahrā meñ maiñ pyāsā bhaTkūñ aur ik dam
terī yādoñ kā ik lashkar aa jaa.e
maiñ apne ahbāb kī galiyoñ meñ huuñ aur
jaane kis khiḌkī se patthar aa jaa.e
tū bas ik āvāz lagā de phir banda
mumkin hai ki maut se bach kar aa jaa.e
sorry sir us kī yādoñ ne gherā hai
aise meñ koī kaise daftar aa jaa.e
is se pahle tujh se behtar aa jae
chahunga tu KHud se chal kar aa jae
chiKHun pura zor laga kar nam us ka
wo apni taswir se bahar aa jae
sahra mein main pyasa bhaTkun aur ek dam
teri yaadon ka ek lashkar aa jae
main apne ahbab ki galiyon mein hun aur
jaane kis khiDki se patthar aa jae
tu bas ek aawaz laga de phir banda
mumkin hai ki maut se bach kar aa jae
sorry sir us ki yaadon ne ghera hai
aise mein koi kaise daftar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.