is shahr-e-be-niyaz ke logon ki KHu na puchh
is shahr-e-be-niyāz ke logoñ kī ḳhū na pūchh
kis kis adā se karte haiñ dil kā lahū na pūchh
ahl-e-vafā kī karte haiñ kyā kyā ye ḳhātireñ
ḳhud mil ke un ko dekh kabhī mujh se tū na pūchh
lagtī haiñ har galī meñ mohabbat kī boliyāñ
biktī yahāñ hai jins-e-vafā kū-ba-kū na pūchh
ik aan meñ hī dil kā jazīra jhulas gayā
shahr-e-badan meñ aisī chalī ġham kī lau na pūchh
āb-e-hayāt se bhī kaḌā hai tirā husūl
maiñ phir bhī terī kartā huuñ kyoñ justujū na pūchh
'nāsir' tumhārī zaat kī ḳhātir jahān meñ
kis kis ko maiñ ne apnā kiyā hai adū na pūchh
is shahr-e-be-niyaz ke logon ki KHu na puchh
kis kis ada se karte hain dil ka lahu na puchh
ahl-e-wafa ki karte hain kya kya ye KHatiren
KHud mil ke un ko dekh kabhi mujh se tu na puchh
lagti hain har gali mein mohabbat ki boliyan
bikti yahan hai jins-e-wafa ku-ba-ku na puchh
ek aan mein hi dil ka jazira jhulas gaya
shahr-e-badan mein aisi chali gham ki lau na puchh
aab-e-hayat se bhi kaDa hai tera husul
main phir bhi teri karta hun kyon justuju na puchh
'nasir' tumhaari zat ki KHatir jahan mein
kis kis ko main ne apna kiya hai adu na puchh
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 614)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.