is shahr-e-be-wafa se sharik-e-wafa na mang
is shahr-e-be-vafā se sharīk-e-vafā na maañg
mirzā yahāñ tū apne liye sāhibā na maañg
ye mashvara hai merā abhī dil-rubā na maañg
ho jā.egā ġhurūr tujhe aa.ina na maañg
ye rāh-e-bandagī hai ise sahl mat samajh
duniyā kī gar talab hai tujhe to ḳhudā na maañg
ham ne tujhe hamesha sar āñkhoñ pe hai rakhā
ġhairoñ ke dil meñ apne liye tū jagah na maañg
vo hai sabab maraz kā miyāñ chārāgar nahīñ
us zahr dene vaale se koī davā na maañg
jo de rahā hai ġham vahī ḳhushiyoñ kī vaj.h thā
us ke liye ḳhudā se koī bhī sazā na maañg
nazroñ se mai pilānā to ehsān thā tirā
mujh se koī hisāb mire sāqiyā na maañg
dariyā meñ tū bahā de sabhī nekiyāñ 'amit'
achchhā.iyoñ kā apnī kisī se sila na maañg
is shahr-e-be-wafa se sharik-e-wafa na mang
mirza yahan tu apne liye sahiba na mang
ye mashwara hai mera abhi dil-ruba na mang
ho jaega ghurur tujhe aaina na mang
ye rah-e-bandagi hai ise sahl mat samajh
duniya ki gar talab hai tujhe to KHuda na mang
hum ne tujhe hamesha sar aankhon pe hai rakha
ghairon ke dil mein apne liye tu jagah na mang
wo hai sabab maraz ka miyan chaaragar nahin
us zahr dene wale se koi dawa na mang
jo de raha hai gham wahi KHushiyon ki wajh tha
us ke liye KHuda se koi bhi saza na mang
nazron se mai pilana to ehsan tha tera
mujh se koi hisab mere saqiya na mang
dariya mein tu baha de sabhi nekiyan 'amit'
achchhaiyon ka apni kisi se sila na mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.