is shahr mein nishana-e-qatil hami to hain
is shahr meñ nishāna-e-qātil hamī to haiñ
kuchh jābiroñ kī raah meñ haa.il hamī to haiñ
jo bechne chale haiñ matā-e-bahār ko
un dushmanoñ ke madd-e-muqābil hamī to haiñ
gul-kārī-e-chaman meñ hamārā lahū bhī hai
rañgīnī-e-bahār meñ shāmil hamī to haiñ
jo daulat-e-hunar ke talabgār haiñ abhī
ai rabb-e-harf-o-saut vasā.el hamī to haiñ
jo kho ga.e haiñ pech-o-ḳham-e-rahguzār meñ
un sab ke muntazir sar-e-manzil hamī to haiñ
ik umr se haiñ halqa-e-girdāb meñ ghire
nā-āshnā-e-qurbat-e-sāhil hamī to haiñ
ham hī se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayāt bhī
is kārobār-e-vaqt kā hāsil hamī to haiñ
us ne atā kiyā hai ġham-e-do-jahāñ hameñ
us kī navāzishāt ke qābil hamī to haiñ
ham-rāhyān-e-jāda-e-duniyā se kyā gila
'shāhid' ḳhud apnī zaat se ġhāfil hamī to haiñ
is shahr mein nishana-e-qatil hami to hain
kuchh jabiron ki rah mein hail hami to hain
jo bechne chale hain mata-e-bahaar ko
un dushmanon ke madd-e-muqabil hami to hain
gul-kari-e-chaman mein hamara lahu bhi hai
rangini-e-bahaar mein shamil hami to hain
jo daulat-e-hunar ke talabgar hain abhi
ai rabb-e-harf-o-saut wasael hami to hain
jo kho gae hain pech-o-KHam-e-rahguzar mein
un sab ke muntazir sar-e-manzil hami to hain
ek umr se hain halqa-e-girdab mein ghire
na-ashna-e-qurbat-e-sahil hami to hain
hum hi se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayat bhi
is karobar-e-waqt ka hasil hami to hain
us ne ata kiya hai gham-e-do-jahan hamein
us ki nawazishat ke qabil hami to hain
ham-rahyan-e-jada-e-duniya se kya gila
'shahid' KHud apni zat se ghafil hami to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.