is shajar par ek bhi patta nahin
is shajar par ek bhī pattā nahīñ
hijr kā mausam abhī guzrā nahīñ
likh diyā hai dhuup ne sab kuchh magar
vo mire chehre ko kyoñ paḌhtā nahīñ
merī ġhazloñ se bhī phūTī hai kiran
maiñ sitāra ban ke kyoñ chamkā nahīñ
mere ghar tak aa ga.ī pakkī saḌak
dhuul se kapḌoñ ko ab ḳhatra nahīñ
vaise interview to de aaya huuñ maiñ
kāmyābī ke liye paisā nahīñ
is shajar par ek bhi patta nahin
hijr ka mausam abhi guzra nahin
likh diya hai dhup ne sab kuchh magar
wo mere chehre ko kyon paDhta nahin
meri ghazlon se bhi phuTi hai kiran
main sitara ban ke kyon chamka nahin
mere ghar tak aa gai pakki saDak
dhul se kapDon ko ab KHatra nahin
waise interwiew to de aaya hun main
kaamyabi ke liye paisa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.