is siyah raat mein koi to sahaara mil jae
is siyah raat meñ koī to sahārā mil jaa.e
apne andar hī koī saaya chamaktā mil jaa.e
us ko ik dukh se bachānā bhī zarūrī hai bahut
bas kisī tarah vo ik baar dobāra mil jaa.e
sochtā huuñ ki ab is ghar meñ mirā hai hī kyā
haañ agar rone kī ḳhātir koī konā mil jaa.e
shahr kā shahr hī vīrān paḌā hai kaisā
koī bachcha hī kahīñ shor machātā mil jaa.e
jānte haiñ ki vahāñ lauT ke bhī kyā hogā
ek koshish koī jiine kā bahānā mil jaa.e
is siyah raat mein koi to sahaara mil jae
apne andar hi koi saya chamakta mil jae
us ko ek dukh se bachana bhi zaruri hai bahut
bas kisi tarah wo ek bar dobara mil jae
sochta hun ki ab is ghar mein mera hai hi kya
han agar rone ki KHatir koi kona mil jae
shahr ka shahr hi viran paDa hai kaisa
koi bachcha hi kahin shor machata mil jae
jaante hain ki wahan lauT ke bhi kya hoga
ek koshish koi jine ka bahana mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.