is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya
is soch meñ hī marhala-e-shab guzar gayā
dar vā kiyā to kis liye saaya bikhar gayā
tā-der apne saath rahā maiñ zamāne baad
be-nām sā sukūt thā jab raat ghar gayā
rakhtā thā hukm maut kā jo rāh-e-vasl meñ
vo lamha-e-firāq mire Dar se mar gayā
sab raunaqeñ ba-zid thiiñ jahāñ ghar banāne ko
vo qarya-e-vajūd ḳhalāoñ se bhar gayā
maiñ bāñdh hī rahā thā ġhazal meñ use abhī
vo zīna-e-ḳhayāl se nīche utar gayā
is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya
dar wa kiya to kis liye saya bikhar gaya
ta-der apne sath raha main zamane baad
be-nam sa sukut tha jab raat ghar gaya
rakhta tha hukm maut ka jo rah-e-wasl mein
wo lamha-e-firaq mere Dar se mar gaya
sab raunaqen ba-zid thin jahan ghar banane ko
wo qarya-e-wajud KHalaon se bhar gaya
main bandh hi raha tha ghazal mein use abhi
wo zina-e-KHayal se niche utar gaya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 66)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.