is sulagte shahr mein sae kahan
is sulagte shahr meñ saa.e kahāñ
barf kī sil dhuup meñ jaa.e kahāñ
ābla-pā.ī hai jaltī ret hai
is zamīñ ke sar pe ab saa.e kahāñ
vo palaT aa.egā duniyā dekh kar
koī us kī khoj meñ jaa.e kahāñ
ḳhuun ubaltā hai jahāñ khodo zamīñ
ghar kaho vo shaḳhs banvā.e kahāñ
tazkire jis ke haiñ saare shahr meñ
koī us ko ham se milvā.e kahāñ
jo khule mausam meñ bhī miltā nahīñ
bārishoñ meñ mere ghar aa.e kahāñ
jo huā apnī anā se ḳhud halāk
qatl-gāhoñ se vo ghabrā.e kahāñ
is sulagte shahr mein sae kahan
barf ki sil dhup mein jae kahan
aabla-pai hai jalti ret hai
is zamin ke sar pe ab sae kahan
wo palaT aaega duniya dekh kar
koi us ki khoj mein jae kahan
KHun ubalta hai jahan khodo zamin
ghar kaho wo shaKHs banwae kahan
tazkire jis ke hain sare shahr mein
koi us ko hum se milwae kahan
jo khule mausam mein bhi milta nahin
barishon mein mere ghar aae kahan
jo hua apni ana se KHud halak
qatl-gahon se wo ghabrae kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.