is tag-o-dau ne aaKHirash mujhko niDhaal kar diya
is tag-o-dau ne aaKHirash mujhko niDhaal kar diya
Rashid Jamaal Farooqi
MORE BYRashid Jamaal Farooqi
is tag-o-dau ne āḳhirash mujh ko niDhāl kar diyā
jiine ke ehtimām ne jiinā muhāl kar diyā
ab ham asīr-e-zulf haiñ kis ke kisī ko kyā ġharaz
us ne to apnī qaid se ham ko bahāl kar diyā
bazm-e-tarab sajā.eñ kyā ab ham hañseñ hañsā.eñ kyā
tum ne to ham ko jān-e-jāñ vaqf-e-malāl kar diyā
sher o suḳhan kā ik hunar rakhte the ham so shukr hai
kuchh dil kī baat kah sake kuchh arz-e-hāl kar diyā
kuchh ishq vishq ho gayā kuchh sher ver kah liye
karne kā koī kaam to 'rāshid' jamāl kar diyā
is tag-o-dau ne aaKHirash mujh ko niDhaal kar diya
jine ke ehtimam ne jina muhaal kar diya
ab hum asir-e-zulf hain kis ke kisi ko kya gharaz
us ne to apni qaid se hum ko bahaal kar diya
bazm-e-tarab sajaen kya ab hum hansen hansaen kya
tum ne to hum ko jaan-e-jaan waqf-e-malal kar diya
sher o suKHan ka ek hunar rakhte the hum so shukr hai
kuchh dil ki baat kah sake kuchh arz-e-haal kar diya
kuchh ishq wishq ho gaya kuchh sher wer kah liye
karne ka koi kaam to 'rashid' jamal kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.