is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa
is takalluf se na poshāk-e-badan-gīr meñ aa
ḳhvāb kī tarah kabhī ḳhvāb kī ta.abīr meñ aa
maiñ bhī ai surḳhi-e-be-nām tujhe pahchānūñ
tū hinā hai ki lahū paikar-e-tasvīr meñ aa
is ke halqe meñ tag-o-tāz kī vus.at hai bahut
āhū-e-shahr mirī bāñhoñ kī zanjīr meñ aa
chāra-gar ḳhair se ḳhush-zauq hai ai merī ġhazal
kaam ab tū hī mire dard kī tash.hīr meñ aa
vo bhī āmāda bahut din se hai sunñe ke liye
ab to ai harf-e-talab ma.ariz-e-taqrīr meñ aa
ek rang āḳhirī manzar kī dhanak meñ kam hai
mauj-e-ḳhūñ uTh ke zarā arsa-e-shamshīr meñ aa
is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa
KHwab ki tarah kabhi KHwab ki tabir mein aa
main bhi ai surKHi-e-be-nam tujhe pahchanun
tu hina hai ki lahu paikar-e-taswir mein aa
is ke halqe mein tag-o-taz ki wusat hai bahut
aahu-e-shahr meri banhon ki zanjir mein aa
chaara-gar KHair se KHush-zauq hai ai meri ghazal
kaam ab tu hi mere dard ki tashhir mein aa
wo bhi aamada bahut din se hai sunne ke liye
ab to ai harf-e-talab mariz-e-taqrir mein aa
ek rang aaKHiri manzar ki dhanak mein kam hai
mauj-e-KHun uTh ke zara arsa-e-shamshir mein aa
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 90)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.