is takallum ki ada par koi kya baat kare
is takallum kī adā par koī kyā baat kare
hoñT chup hoñ to tirā rañg-e-hinā baat kare
dekh ham ḳhāk-nashīnoñ se zamāne kā sulūk
jaise sūkhe hue pattoñ se havā baat kare
mujh ko har faisla manzūr magar āḳhirī baar
vo mire sāmne aa kar tū zarā baat kare
ek pathrā.ī huī bhiiḌ se huuñ mahv-e-kalām
jaise ḳhāmosh mazāroñ se diyā baat kare
saare aalam se judā ho tirā ejāz-e-suḳhan
jis se tū baat kare us se ḳhudā baat kare
is takallum ki ada par koi kya baat kare
honT chup hon to tera rang-e-hina baat kare
dekh hum KHak-nashinon se zamane ka suluk
jaise sukhe hue patton se hawa baat kare
mujh ko har faisla manzur magar aaKHiri bar
wo mere samne aa kar tu zara baat kare
ek pathrai hui bhiD se hun mahw-e-kalam
jaise KHamosh mazaron se diya baat kare
sare aalam se juda ho tera ejaz-e-suKHan
jis se tu baat kare us se KHuda baat kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.