is taraf aag ka dariya hai udhar khai hai
is taraf aag kā dariyā hai udhar khaa.ī hai
ham ne bhī paar utarne kī qasam khaa.ī hai
apne kamre se nikal kar zarā dekho to sahī
dhuup dīvār se āñgan meñ utar aa.ī hai
jin charāġhoñ kā tire naam se rishta hī nahīñ
un charāġhoñ kī zamāne meñ pazīrā.ī hai
raat kī shāḳh se laTke haiñ sitāroñ ke charāġh
ghar kī dahlīz pe baiThī huī tanhā.ī hai
aisā mausam hai ki be-barg-o-samar haiñ ashjār
kyoñ havā shor machāne ko chalī aa.ī hai
dhuup ke shahr meñ bādal ko tarasne vaalo
aaj bārish nahīñ hogī ye ḳhabar aa.ī hai
jis pe dīvār ke us paar kā manzar na khule
aisī bīnā.ī bhī kis kaam kī bīnā.ī hai
apne andar kā ye aalam bhī ajab aalam hai
bhiiḌ kī bhiiḌ hai tanhā.ī kī tanhā.ī hai
mujh pe ilzām hai āhista-ḳhirāmī kā 'matīn'
tez chaltā huuñ to ahbāb kī rusvā.ī hai
is taraf aag ka dariya hai udhar khai hai
hum ne bhi par utarne ki qasam khai hai
apne kamre se nikal kar zara dekho to sahi
dhup diwar se aangan mein utar aai hai
jin charaghon ka tere nam se rishta hi nahin
un charaghon ki zamane mein pazirai hai
raat ki shaKH se laTke hain sitaron ke charagh
ghar ki dahliz pe baiThi hui tanhai hai
aisa mausam hai ki be-barg-o-samar hain ashjar
kyon hawa shor machane ko chali aai hai
dhup ke shahr mein baadal ko tarasne walo
aaj barish nahin hogi ye KHabar aai hai
jis pe diwar ke us par ka manzar na khule
aisi binai bhi kis kaam ki binai hai
apne andar ka ye aalam bhi ajab aalam hai
bhiD ki bhiD hai tanhai ki tanhai hai
mujh pe ilzam hai aahista-KHirami ka 'matin'
tez chalta hun to ahbab ki ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.