is taraf hadson ko aane do
is taraf hādsoñ ko aane do
himmat-e-dil ko āzmāne do
ahl-e-sāhil ko muskurāne do
kashtiyoñ ko bhañvar meñ aane do
jo bahāroñ ko zindagī deñge
un shagūfoñ ko muskurāne do
ham sikhā.eñge un ko rāhbarī
rahzanoñ ko qarīb aane do
un kī nazroñ ke ruḳh bhī dekhūñgā
mire dil ko sukūn paane do
maut sharmā.egī lajā.egī
zindagānī ko ġham uThāne do
gulshanoñ meñ bahār se pahle
kuchh ḳhizāñ ko bhī gul khilāne do
raushnī tīrgī se behtar hai
in charāġhoñ ko jhilmilāne do
tum bhī kuchh gungunāo ai 'aḳhtar'
kuchh fazāoñ ko gungunāne do
is taraf hadson ko aane do
himmat-e-dil ko aazmane do
ahl-e-sahil ko muskurane do
kashtiyon ko bhanwar mein aane do
jo bahaaron ko zindagi denge
un shagufon ko muskurane do
hum sikhaenge un ko rahbari
rahzanon ko qarib aane do
un ki nazron ke ruKH bhi dekhunga
mere dil ko sukun pane do
maut sharmaegi lajaegi
zindagani ko gham uThane do
gulshanon mein bahaar se pahle
kuchh KHizan ko bhi gul khilane do
raushni tirgi se behtar hai
in charaghon ko jhilmilane do
tum bhi kuchh gungunao ai 'aKHtar'
kuchh fazaon ko gungunane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.