is tarah aata hun bazaron ke bich
is tarah aatā huuñ bāzāroñ ke biich
jaise niiñd aa jaa.e bedāroñ ke biich
maiñ musalsal multavī hotā huā
har ghaḌī har gaam tayyāroñ ke biich
laḌkhaḌāne lagtī haiñ sāñseñ mirī
har-nafas har haal hamvāroñ ke biich
yaad sahrā kī hujūm-e-shahr meñ
zindagī kā ḳhvāb bīmāroñ ke biich
ḳhud-ba-ḳhud band-e-qabā khulte hue
hairat-e-iqrār inkāroñ ke biich
ham ḳhud afsāne ke bāhar ho ga.e
mar hī jaate aise kirdāroñ ke biich
ham 'alam-bardār apne jehl ke
maktaboñ ke ilm-bardāroñ ke biich
'farhat-ehsās' aa gayā kyā bazm meñ
sādgī aa.ī hai hoshyāroñ ke biich
is tarah aata hun bazaron ke bich
jaise nind aa jae bedaron ke bich
main musalsal multawi hota hua
har ghaDi har gam tayyaron ke bich
laDkhaDane lagti hain sansen meri
har-nafas har haal hamwaron ke bich
yaad sahra ki hujum-e-shahr mein
zindagi ka KHwab bimaron ke bich
KHud-ba-KHud band-e-qaba khulte hue
hairat-e-iqrar inkaron ke bich
hum KHud afsane ke bahar ho gae
mar hi jate aise kirdaron ke bich
hum 'alam-bardar apne jehl ke
maktabon ke ilm-bardaron ke bich
'farhat-ehsas' aa gaya kya bazm mein
sadgi aai hai hoshyaron ke bich
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 47)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.