is tarah baiThe ho kyun be-zar se
is tarah baiThe ho kyuuñ be-zār se
bhar gayā dil rāhat-e-dīdār se
ashk kyā Dhalkā tire ruḳhsār se
gir paḌā huuñ jaise maiñ kohsār se
dar khulā to merī hī jānib khulā
sar paTaḳhtā rah gayā dīvār se
ek din ḳhāmosh ho kar dekhiye
lutf gar uThne lage takrār se
dekh lo ye zard āñkheñ ḳhushk hoñT
pūchhte ho haal kyā bīmār se
qadr kījiye faiz jis jis se mile
sāya-e-dīvār hai dīvār se
kal mubādā ho yahāñ vīrāniyāñ
Dar rahā huuñ garmī-e-bāzār se
jhuuT chaltā hai magar ik aadh baar
ai qasīda-ḳhvāñ hazar takrār se
bik rahī hai zindagī ke mol maut
jā.iye le aa.iye bāzār se
māñgte haiñ vote is par tantana
pech-o-ḳham nikle nahīñ dastār se
band kar T v kī ḳhabreñ be-ḳhabar
chal koī column sunā aḳhbār se
dostī kī mahfileñ qaa.em raheñ
ye duā hai apnī pālanhār se
tujh meñ 'ahmad' aib haiñ lākhoñ magar
vāsta hai terā kis sattār se
is tarah baiThe ho kyun be-zar se
bhar gaya dil rahat-e-didar se
ashk kya Dhalka tere ruKHsar se
gir paDa hun jaise main kohsar se
dar khula to meri hi jaanib khula
sar paTaKHta rah gaya diwar se
ek din KHamosh ho kar dekhiye
lutf gar uThne lage takrar se
dekh lo ye zard aankhen KHushk honT
puchhte ho haal kya bimar se
qadr kijiye faiz jis jis se mile
saya-e-diwar hai diwar se
kal mubaada ho yahan viraniyan
Dar raha hun garmi-e-bazar se
jhuT chalta hai magar ek aadh bar
ai qasida-KHwan hazar takrar se
bik rahi hai zindagi ke mol maut
jaiye le aaiye bazar se
mangte hain wote is par tantana
pech-o-KHam nikle nahin dastar se
band kar T w ki KHabren be-KHabar
chal koi column suna aKHbar se
dosti ki mahfilen qaem rahen
ye dua hai apni palanhaar se
tujh mein 'ahmad' aib hain lakhon magar
wasta hai tera kis sattar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.