is tarah bazm mein wasf-e-ruKH-e-jaanana karun
is tarah bazm meñ vasf-e-ruḳh-e-jānāna karūñ
ātish-e-shauq se tā-sham.a ko parvāna karūñ
aql kā ta.an na kar mujh pe abhī ai nāseh
ik suḳhan ishq kā kah tujh ko bhī dīvāna karūñ
ashk-e-hasrat kī agar hove madad ai zāhid
dil-e-sad-chāk ko maiñ sub.ha-e-sad-dāna karūñ
dard-e-dil pūchh na mujh se ki vo bātūnī huuñ
harf ho ek to sau tarah se afsāna karūñ
apne saudā ne kiyā shahr kā bāzār to garm
ai 'razā' dil meñ hai ābād maiñ vīrāna karūñ
is tarah bazm mein wasf-e-ruKH-e-jaanana karun
aatish-e-shauq se ta-shama ko parwana karun
aql ka tan na kar mujh pe abhi ai naseh
ek suKHan ishq ka kah tujh ko bhi diwana karun
ashk-e-hasrat ki agar howe madad ai zahid
dil-e-sad-chaak ko main subha-e-sad-dana karun
dard-e-dil puchh na mujh se ki wo baatuni hun
harf ho ek to sau tarah se afsana karun
apne sauda ne kiya shahr ka bazar to garm
ai 'raza' dil mein hai aabaad main virana karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.