is tarah dil mein teri yaad ke paikar aae
is tarah dil meñ tirī yaad ke paikar aa.e
jaise ujḌī huī bastī meñ payambar aa.e
zaat ke ġham the ki hālāt ke jalte saa.e
baḌhte baḌhte jo mire qad ke barābar aa.e
oḌh lī maiñ ne tirī yaad kī chādar ai dost
jab bhī sar par mire hālāt ke patthar aa.e
kabhī aisā bhī ho dil meñ ye ḳhayāl aatā hai
zaḳhm auroñ ke lage aañkh mirī bhar aa.e
jin ko iḳhlās kā da.avā thā vahī dost mire
āstīnoñ meñ chhupā.e hue ḳhanjar aa.e
apnī āñkhoñ meñ savālāt kī bauchhār liye
kitne chehre mire maazī se nikal kar aa.e
kyā batā.ūñ ki dar-e-zehn se shahr-e-dil tak
kitne biite hue lamhāt ke lashkar aa.e
muskurā.ūñ maiñ hālāt kā mujrim kahlā.ūñ
ro.uuñ to shikvoñ kā ilzām mire sar aa.e
haq kī rāhoñ meñ qadam jab bhī baḌhe haiñ 'ḳhusrav'
raah dikhlāne mujhe raah ke patthar aa.e
is tarah dil mein teri yaad ke paikar aae
jaise ujDi hui basti mein payambar aae
zat ke gham the ki haalat ke jalte sae
baDhte baDhte jo mere qad ke barabar aae
oDh li main ne teri yaad ki chadar ai dost
jab bhi sar par mere haalat ke patthar aae
kabhi aisa bhi ho dil mein ye KHayal aata hai
zaKHm auron ke lage aankh meri bhar aae
jin ko iKHlas ka dawa tha wahi dost mere
aastinon mein chhupae hue KHanjar aae
apni aankhon mein sawalat ki bauchhaar liye
kitne chehre mere mazi se nikal kar aae
kya bataun ki dar-e-zehn se shahr-e-dil tak
kitne bite hue lamhat ke lashkar aae
muskuraun main haalat ka mujrim kahlaun
roun to shikwon ka ilzam mere sar aae
haq ki rahon mein qadam jab bhi baDhe hain 'KHusraw'
rah dikhlane mujhe rah ke patthar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.