is tarah ishq kā āzār na jī ko hogā
jo mujhe dukh hai vo shāyad na kisī ko hogā
mastiyāñ baḌh ke mirī ḳhud hī balā.eñ leñgī
auj hāsil vo mirī bāda-kashī ko hogā
maiñ mohabbat ke masā.il ko samajh saktā huuñ
sāmne mere ye da.avā na kisī ko hogā
ishq kā gard-e-kasāfat se ta.alluq kyā hai
jis kā dil paak hai ye rog usī ko hogā
mire ash.ār meñ kyā kyā haiñ 'munavār' nukte
is kā andāza kisī mard-e-valī ko hogā
is tarah ishq ka aazar na ji ko hoga
jo mujhe dukh hai wo shayad na kisi ko hoga
mastiyan baDh ke meri KHud hi balaen lengi
auj hasil wo meri baada-kashi ko hoga
main mohabbat ke masail ko samajh sakta hun
samne mere ye dawa na kisi ko hoga
ishq ka gard-e-kasafat se talluq kya hai
jis ka dil pak hai ye rog usi ko hoga
mere ashaar mein kya kya hain 'munawar' nukte
is ka andaza kisi mard-e-wali ko hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.