is tarah ishq mein barbaad nahin rah sakte
is tarah ishq meñ barbād nahīñ rah sakte
itne qisse to hameñ yaad nahīñ rah sakte
ham mohabbat ke ḳharāboñ ke makīñ haiñ phir bhī
umr bhar mā.il-e-fariyād nahīñ rah sakte
aap hī aap khiñche jaate haiñ apnī jānib
log chāheñ bhī to āzād nahīñ rah sakte
ek āvāz sī aatī hai ajab kānoñ meñ
shahr ab der tak ābād nahīñ rah sakte
is tarah ishq mein barbaad nahin rah sakte
itne qisse to hamein yaad nahin rah sakte
hum mohabbat ke KHarabon ke makin hain phir bhi
umr bhar mail-e-fariyaad nahin rah sakte
aap hi aap khinche jate hain apni jaanib
log chahen bhi to aazad nahin rah sakte
ek aawaz si aati hai ajab kanon mein
shahr ab der tak aabaad nahin rah sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.