is tarah ji raha hun tere aastan se dur
is tarah jī rahā huuñ tire āstāñ se duur
jaise ho andalīb gul-o-gulsitāñ se duur
kis tarah jī rahe haiñ qafas meñ na pochhiye
dil āshiyāna meñ hai nazar āshiyāñ se duur
sho'loñ se khelne kā salīqa na ho jinheñ
vo āshiyāñ banā.eñ kahīñ gulsitāñ se duur
gum-karda-rāh ban ga.e jab mīr-e-kārvāñ
jo rāhbar the rahne lage kārvāñ se duur
rahtā zamāna terī haqīqat se be-ḳhabar
rahtī mirī jabīñ jo tire āstāñ se duur
ai ham-nashīñ hazār kushāda zamīñ sahī
jaa.eñ bhī ham to jaa.eñ kahāñ āsmāñ se duur
ik mehrbāñ mile the bahut din kī baat hai
rahne lagā huuñ jab se har ik mehrbāñ se duur
ḳhāshāk-e-āshiyāñ meñ bhī haiñ bijliyāñ nihāñ
ai barq-e-be-qarār zarā āshiyāñ se duur
phūloñ ko haath bhī na lagā paa.e 'umr bhar
ham gulsitāñ meñ rah ke rahe gulsitāñ se duur
'tālib' unhīñ ke dam se hai tauqīr-e-zindagī
rakhte haiñ apne sar ko jo har āstāñ se duur
is tarah ji raha hun tere aastan se dur
jaise ho andalib gul-o-gulsitan se dur
kis tarah ji rahe hain qafas mein na pochhiye
dil aashiyana mein hai nazar aashiyan se dur
sho'lon se khelne ka saliqa na ho jinhen
wo aashiyan banaen kahin gulsitan se dur
gum-karda-rah ban gae jab mir-e-karwan
jo rahbar the rahne lage karwan se dur
rahta zamana teri haqiqat se be-KHabar
rahti meri jabin jo tere aastan se dur
ai ham-nashin hazar kushada zamin sahi
jaen bhi hum to jaen kahan aasman se dur
ek mehrban mile the bahut din ki baat hai
rahne laga hun jab se har ek mehrban se dur
KHashak-e-ashiyan mein bhi hain bijliyan nihan
ai barq-e-be-qarar zara aashiyan se dur
phulon ko hath bhi na laga pae 'umr bhar
hum gulsitan mein rah ke rahe gulsitan se dur
'talib' unhin ke dam se hai tauqir-e-zindagi
rakhte hain apne sar ko jo har aastan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.