is tarah karb ki shiddat ko chhupa rakkha hai
is tarah karb kī shiddat ko chhupā rakkhā hai
maiñ ne palkoñ pe tabassum ko sajā rakkhā hai
vo mire ghar kī taraf lauT ke aa.egā kabhī
bas isī aas pe ik diip jalā rakhā hai
maiñ añdheroñ se bhalā ḳhauf bhī khātā kaise
mere māñ-bāp ne to naam 'ziyā' rakkhā hai
aur kyā duuñ maiñ tujhe apnī mohabbat kā subūt
tere qadmoñ pe zamāne ko jhukā rakkhā hai
haath rasman hī milāyā thā kisī se maiñ ne
āsmāñ tum ne magar sar pe uThā rakkhā hai
kho.e kho.e hue rahte haiñ hamesha āḳhir
tum ne kyā haal 'ziyā-zaḳhmī' banā rakkhā hai
is tarah karb ki shiddat ko chhupa rakkha hai
main ne palkon pe tabassum ko saja rakkha hai
wo mere ghar ki taraf lauT ke aaega kabhi
bas isi aas pe ek dip jala rakha hai
main andheron se bhala KHauf bhi khata kaise
mere man-bap ne to nam 'ziya' rakkha hai
aur kya dun main tujhe apni mohabbat ka subut
tere qadmon pe zamane ko jhuka rakkha hai
hath rasman hi milaya tha kisi se main ne
aasman tum ne magar sar pe uTha rakkha hai
khoe khoe hue rahte hain hamesha aaKHir
tum ne kya haal 'ziya-zaKHmi' bana rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.