is tarah ke lutf se koi kahan tak shad ho
is tarah ke lutf se koi kahan tak shad ho
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
is tarah ke lutf se koī kahāñ tak shaad ho
lutf ke parde meñ jab bedād hī bedād ho
aise jiine se koī kyā mutma.in kyā shaad ho
har-nafas jab āh-o-zārī har-nafas fariyād ho
merī barbādī kā qissa mere ġham kī dāstāñ
ai vafā-nā-āshnā shāyad tujhe kuchh yaad ho
bin tire mahsūs yuuñ kartā huuñ jaise zindagī
sar-basar mujh par koī ilzām be-buniyād ho
rafta-rafta miT rahe haiñ merī barbādī ke naqsh
o sitamgar phir koī taaza sitam ījād ho
is tarah suunī hai 'āsī' zindagī un ke baġhair
jis tarah koī makāñ muddat se ġhair-ābād ho
is tarah ke lutf se koi kahan tak shad ho
lutf ke parde mein jab bedad hi bedad ho
aise jine se koi kya mutmain kya shad ho
har-nafas jab aah-o-zari har-nafas fariyaad ho
meri barbaadi ka qissa mere gham ki dastan
ai wafa-na-ashna shayad tujhe kuchh yaad ho
bin tere mahsus yun karta hun jaise zindagi
sar-basar mujh par koi ilzam be-buniyaad ho
rafta-rafta miT rahe hain meri barbaadi ke naqsh
o sitamgar phir koi taza sitam ijad ho
is tarah suni hai 'asi' zindagi un ke baghair
jis tarah koi makan muddat se ghair-abaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.