is tarah main use bhulata hun
is tarah maiñ use bhulātā huuñ
pattharoñ par likhā miTātā huuñ
taaki us zindagī ko Dar na lage
maut ke fā.ede ginātā huuñ
roz martā huuñ apne andar maiñ
roz ik laash maiñ uThātā huuñ
dard meñ kuchh kamī sī lagtī hai
zaḳhm par zaḳhm jab lagātā huuñ
saañs jaatī hai le ke duur mujhe
saañs aatī hai lauT aatā huuñ
vasl kā tajraba nahīñ hai mujhe
hijr kī shā.erī sunātā huuñ
raqs kartī haiñ gum-shuda yādeñ
aaj sab aa.ina bujhātā huuñ
jāntā huuñ ki dar khuleñge nahīñ
be-sabab chābiyāñ ghumātā huuñ
pahle kartā huuñ ḳhud use nārāz
aur phir der tak manātā huuñ
dhaḌkanoñ shor kam karo kuchh der
maiñ bas un ko bulā ke laatā huuñ
is tarah main use bhulata hun
pattharon par likha miTata hun
taki us zindagi ko Dar na lage
maut ke faede ginata hun
roz marta hun apne andar main
roz ek lash main uThata hun
dard mein kuchh kami si lagti hai
zaKHm par zaKHm jab lagata hun
sans jati hai le ke dur mujhe
sans aati hai lauT aata hun
wasl ka tajraba nahin hai mujhe
hijr ki shaeri sunata hun
raqs karti hain gum-shuda yaaden
aaj sab aaina bujhata hun
jaanta hun ki dar khulenge nahin
be-sabab chabiyan ghumata hun
pahle karta hun KHud use naraaz
aur phir der tak manata hun
dhaDkanon shor kam karo kuchh der
main bas un ko bula ke lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.