Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tarah masaib ka kar ke sadd-e-bab aae

Khursheed Ambar Pratapgadhi

is tarah masaib ka kar ke sadd-e-bab aae

Khursheed Ambar Pratapgadhi

MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi

    is tarah masā.ib kar ke sadd-e-bāb aa.e

    ḳhvāhishāt ko apnī ham kahīñ pe daab aa.e

    ye mirā junūñ thā jo haar kar nahīñ baiThā

    varna zindagānī meñ ġham to be-hisāb aa.e

    ek sang-dil mujh par mā.il-e-karam hai aaj

    hairatī huuñ kīkar par kis tarah gulāb aa.e

    merī kāmyābī par jashn kyoñ manā.egā

    merā naam sunte jis ko pech-o-tāb aa.e

    aap mohabbat aaj ho gayā qaa.il

    ek phuul ke badle sang be-hisāb aa.e

    mushkileñ huiiñ āsāñ rāste hue dushvār

    kaT chukī saroñ fasl ab to inqalāb aa.e

    bā-kamāl the 'ambar' phir bhī ham rahe gumnām

    be-hunar ke hisse meñ saikḌoñ ḳhitāb aa.e

    is tarah masaib ka kar ke sadd-e-bab aae

    KHwahishat ko apni hum kahin pe dab aae

    ye mera junun tha jo haar kar nahin baiTha

    warna zindagani mein gham to be-hisab aae

    ek sang-dil mujh par mail-e-karam hai aaj

    hairati hun kikar par kis tarah gulab aae

    meri kaamyabi par jashn kyon manaega

    mera nam sunte hi jis ko pech-o-tab aae

    aap ki mohabbat ka aaj ho gaya qail

    ek phul ke badle sang be-hisab aae

    mushkilen huin aasan raste hue dushwar

    kaT chuki saron ki fasl ab to inqalab aae

    ba-kamal the 'ambar' phir bhi hum rahe gumnam

    be-hunar ke hisse mein saikDon KHitab aae

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now