is tarah mil ki mulaqat adhuri na rahe
is tarah mil ki mulāqāt adhūrī na rahe
zindagī dekh koī baat adhūrī na rahe
bādaloñ kī tarah aa.e ho to khul kar barso
dekho is baar kī barsāt adhūrī na rahe
merā har ashk chalā aayā barātī ban kar
jis se ye dard kī bārāt adhūrī na rahe
paas aa jaanā agar chāñd kabhī chhup jaa.e
mere jīvan kī koī raat adhūrī na rahe
merī koshish hai ki maiñ us se kuchh aise bolūñ
lafz nikle na koī baat adhūrī na rahe
tujh pe dil hai to 'kuñvar' de de kisī ke dil ko
jis se dil kī bhī ye sauġhāt adhūrī na rahe
is tarah mil ki mulaqat adhuri na rahe
zindagi dekh koi baat adhuri na rahe
baadalon ki tarah aae ho to khul kar barso
dekho is bar ki barsat adhuri na rahe
mera har ashk chala aaya baraati ban kar
jis se ye dard ki baraat adhuri na rahe
pas aa jaana agar chand kabhi chhup jae
mere jiwan ki koi raat adhuri na rahe
meri koshish hai ki main us se kuchh aise bolun
lafz nikle na koi baat adhuri na rahe
tujh pe dil hai to 'kunwar' de de kisi ke dil ko
jis se dil ki bhi ye saughat adhuri na rahe
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 54)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.