is tarah mohabbat mein dil pe hukmarani hai
is tarah mohabbat meñ dil pe hukmarānī hai
dil nahīñ mirā goyā un kī rājdhānī hai
ghaas ke gharauñde se zor-āzmā.ī kyā
āñdhiyāñ bhī paglī haiñ barq bhī divānī hai
shāyad un ke dāman ne poñchh diiñ mirī āñkheñ
aaj mere ashkoñ kā rañg zāfrānī hai
pūchhte ho kyā baabā kyā huā dil-e-zinda
vo mirā dil-e-zinda aaj āñ-jahānī hai
'kaif' tujh ko duniyā ne kyā se kyā banā Daalā
yaar ab tire muñh par rañg hai na paanī hai
is tarah mohabbat mein dil pe hukmarani hai
dil nahin mera goya un ki rajdhani hai
ghas ke gharaunde se zor-azmai kya
aandhiyan bhi pagli hain barq bhi diwani hai
shayad un ke daman ne ponchh din meri aankhen
aaj mere ashkon ka rang zafrani hai
puchhte ho kya baba kya hua dil-e-zinda
wo mera dil-e-zinda aaj aan-jahani hai
'kaif' tujh ko duniya ne kya se kya bana Dala
yar ab tere munh par rang hai na pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.