is tarah mujh pe meri zist ke asbab khule
is tarah mujh pe mirī ziist ke asbāb khule
ḳhvāb jab mar ga.e tā'bīr ke abvāb khule
shukriya sā’at-e-dushvār tavassut se tire
der se hī sahī mujh par mire ahbāb khule
baa'd muddat ke use dekhā to yuuñ chain milā
Dūbtī saañs koī jaise sar-e-āb khule
ai mire yūsuf-e-be-mehr mirī āñkhoñ par
do ghaḌī hī sahī terā ruḳh-e-mahtāb khule
kaise hālāt meñ vo shaḳhs milā hai mujh ko
kaun sī 'umr meñ aa kar ye mire ḳhvāb khule
dasht-e-duniyā meñ mujhe dashna-e-iflās 'adīl'
us ghaḌī aan lagā jab par-e-surḳhāb khule
is tarah mujh pe meri zist ke asbab khule
KHwab jab mar gae ta'bir ke abwab khule
shukriya sa’at-e-dushwar tawassut se tere
der se hi sahi mujh par mere ahbab khule
ba'd muddat ke use dekha to yun chain mila
Dubti sans koi jaise sar-e-ab khule
ai mere yusuf-e-be-mehr meri aankhon par
do ghaDi hi sahi tera ruKH-e-mahtab khule
kaise haalat mein wo shaKHs mila hai mujh ko
kaun si 'umr mein aa kar ye mere KHwab khule
dasht-e-duniya mein mujhe dashna-e-iflas 'adil'
us ghaDi aan laga jab par-e-surKHab khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.