is tarah mujhse muKHatib hai sadaqat meri
is tarah mujh se muḳhātib hai sadāqat merī
zaḳhm ehsās ko detī hai basārat merī
us ne miTTī ke khilaune kī tarah toḌ diyā
kyoñ ḳhamoshī ko na samjhā vo 'ibādat merī
maiñ jazīre kī tarah ghir ga.ī tūfānoñ meñ
bebasī le ga.ī āñkhoñ se basārat merī
jaane kab samjhegā koī mirī āñkhoñ kī zabāñ
jaane alfāz se kab hogī vazāhat merī
apne chehre ko bhī dekhūñ tire ā.īne meñ
terā mafhūm nazar aa.e 'ibārat merī
ruuh meñ phir tujhe mahsūs kiyā hai maiñ ne
phir tujhe DhūñDne niklī hai sadāqat merī
koī sūraj to mirī fikr meñ niklā hogā
aaj tak mujh ko jalātī hai tamāzat merī
ḳhaak ho kar bhī rahūñ terī guzargāhoñ meñ
faḳhr karnā bhī sikhā degī qanā'at merī
muntazir jis ke liye ruuh kā sannāTā rahā
usī āvāz ko tarsī hai samā'at merī
tere ehsās meñ Duubī huī ḳhushbū hai 'nasīm'
phuuT niklegī zamīñ se bhī sadāqat merī
is tarah mujh se muKHatib hai sadaqat meri
zaKHm ehsas ko deti hai basarat meri
us ne miTTi ke khilaune ki tarah toD diya
kyon KHamoshi ko na samjha wo 'ibaadat meri
main jazire ki tarah ghir gai tufanon mein
bebasi le gai aankhon se basarat meri
jaane kab samjhega koi meri aankhon ki zaban
jaane alfaz se kab hogi wazahat meri
apne chehre ko bhi dekhun tere aaine mein
tera mafhum nazar aae 'ibarat meri
ruh mein phir tujhe mahsus kiya hai main ne
phir tujhe DhunDne nikli hai sadaqat meri
koi suraj to meri fikr mein nikla hoga
aaj tak mujh ko jalati hai tamazat meri
KHak ho kar bhi rahun teri guzargahon mein
faKHr karna bhi sikha degi qana'at meri
muntazir jis ke liye ruh ka sannaTa raha
usi aawaz ko tarsi hai sama'at meri
tere ehsas mein Dubi hui KHushbu hai 'nasim'
phuT niklegi zamin se bhi sadaqat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.