is tarah murjha gae kuchh phul-chehre raat ko
is tarah murjhā ga.e kuchh phūl-chehre raat ko
dhuup āñgan meñ utar aa.ī ho jaise raat ko
umr bhar sūraj bhī jin kī diid se qāsir rahe
un hayā-dāroñ ke uThte haiñ janāze raat ko
ziist kā sarmāya hai yādeñ unhī lamhāt kī
maaoñ se jab loriyāñ sunte the bachche raat ko
ban ga.e haiñ rahzanoñ ke vāste jā-e-amāñ
aur musāfir ke liye haiñ maut raste raat ko
is tarah ab to guzartī hai mirī umr-e-ravāñ
khāñste haiñ jis tarah parvāz būḌhe raat ko
is tarah murjha gae kuchh phul-chehre raat ko
dhup aangan mein utar aai ho jaise raat ko
umr bhar suraj bhi jin ki did se qasir rahe
un haya-daron ke uThte hain janaze raat ko
zist ka sarmaya hai yaaden unhi lamhat ki
maon se jab loriyan sunte the bachche raat ko
ban gae hain rahzanon ke waste ja-e-aman
aur musafir ke liye hain maut raste raat ko
is tarah ab to guzarti hai meri umr-e-rawan
khanste hain jis tarah parwaz buDhe raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.