is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai
is tarah rasm mohabbat kī adā hotī hai
aaj se terī mirī raah judā hotī hai
maiñ kisī aur hī duniyā meñ pahuñch jaatā huuñ
jab bhī kānoñ meñ azānoñ kī sadā hotī hai
bad-duā koī agar de to burā mat maano
bad-duā bhī to mirī jaan duā hotī hai
niiñd ke saath hī ik baab nayā khultā hai
ḳhvāb ke TūTne juḌne kī kathā hotī hai
jism kī vādiyoñ meñ rah ke ye jaanā maiñ ne
jism kī pyaas to ghanghor ghaTā hotī hai
maiñ tujhe chhoḌ ke hargiz nahīñ jaane vaalā
ai mirī jaan tū be-vaj.h ḳhafā hotī hai
do javāñ dil jo mohabbat meñ kabhī paḌ jaa.eñ
kyā ye sach-much meñ ḳhudā kī hī ḳhatā hotī hai
is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai
aaj se teri meri rah juda hoti hai
main kisi aur hi duniya mein pahunch jata hun
jab bhi kanon mein azanon ki sada hoti hai
bad-dua koi agar de to bura mat mano
bad-dua bhi to meri jaan dua hoti hai
nind ke sath hi ek bab naya khulta hai
KHwab ke TuTne juDne ki katha hoti hai
jism ki wadiyon mein rah ke ye jaana main ne
jism ki pyas to ghanghor ghaTa hoti hai
main tujhe chhoD ke hargiz nahin jaane wala
ai meri jaan tu be-wajh KHafa hoti hai
do jawan dil jo mohabbat mein kabhi paD jaen
kya ye sach-much mein KHuda ki hi KHata hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.