is tarah se azab tak aae
is tarah se azaab tak aa.e
niiñd aa.ī na ḳhvāb tak aa.e
fāḳhtāoñ kā jhunD uḌte hue
chāhtā huuñ ke aab tak aa.e
jo sarāpā savāl lagtā ho
us ko kaise javāb tak aa.e
āñkhoñ āñkhoñ meñ us ko sajda kiyā
goyā kār-e-savāb tak aa.e
is liye ḳhāmushī se baiThā huuñ
koī rasta janāb tak aa.e
rāste meñ hazār kāñTe haiñ
kaise ḳhushbū gulāb tak aa.e
is tarah se azab tak aae
nind aai na KHwab tak aae
faKHtaon ka jhunD uDte hue
chahta hun ke aab tak aae
jo sarapa sawal lagta ho
us ko kaise jawab tak aae
aankhon aankhon mein us ko sajda kiya
goya kar-e-sawab tak aae
is liye KHamushi se baiTha hun
koi rasta janab tak aae
raste mein hazar kanTe hain
kaise KHushbu gulab tak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.