is tarah se jashn-e-shiraaza hua
is tarah se jashn-e-shīrāza huā
phir ġhazal kā sher ik taaza huā
ḳhvāb kitne bhī hasīñ hoñ ḳhvāb haiñ
niiñd se jaage to andāza huā
saare ġham chup-chāp dāḳhil ho ga.e
dil meñ jaise chor-darvāza huā
ābla-pā meñ thakan yuuñ zam huī
dard jaise dard kā ġhāza huā
aaj phir marham lagāyā aap ne
aaj merā zaḳhm phir taaza huā
niiñd kī āñkhoñ pe jab dastak huī
band phir palkoñ kā darvāza huā
zindagī jiinā bhī 'ḳhālid' āj-kal
jaise in sāñsoñ kā ḳhamyāza huā
is tarah se jashn-e-shiraaza hua
phir ghazal ka sher ek taza hua
KHwab kitne bhi hasin hon KHwab hain
nind se jage to andaza hua
sare gham chup-chap daKHil ho gae
dil mein jaise chor-darwaza hua
aabla-pa mein thakan yun zam hui
dard jaise dard ka ghaza hua
aaj phir marham lagaya aap ne
aaj mera zaKHm phir taza hua
nind ki aankhon pe jab dastak hui
band phir palkon ka darwaza hua
zindagi jina bhi 'KHalid' aaj-kal
jaise in sanson ka KHamyaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.