is tarah se kuchh miTae dard-e-dil
is tarah se kuchh miTā.e dard-e-dil
maut kī sūrat dikhā.e dard-e-dil
ab nishān-e-dil bhī mil saktā nahīñ
dekhnī hai intihā-e-dard-e-dil
dil kī hālat ġhair hotī hai to ho
ham na māñgeñge davā-e-dard-e-dil
pūchhte kyā ho mire dil meñ hai kyā
kuchh nahīñ is meñ sivā-e-dard-e-dil
dard-e-dil kā ḳhaak vo jaane maza
jo nahīñ hai mubtalā-e-dard-e-dil
ḳhud masīhā bhī hai is se be-ḳhabar
bañdh ga.ī kaisī havā-e-dard-e-dil
ho ga.e 'be-zār' ham tasvīr-e-marg
thā yahī to mudda'ā-e-dard-e-dil
is tarah se kuchh miTae dard-e-dil
maut ki surat dikhae dard-e-dil
ab nishan-e-dil bhi mil sakta nahin
dekhni hai intiha-e-dard-e-dil
dil ki haalat ghair hoti hai to ho
hum na mangenge dawa-e-dard-e-dil
puchhte kya ho mere dil mein hai kya
kuchh nahin is mein siwa-e-dard-e-dil
dard-e-dil ka KHak wo jaane maza
jo nahin hai mubtala-e-dard-e-dil
KHud masiha bhi hai is se be-KHabar
bandh gai kaisi hawa-e-dard-e-dil
ho gae 'be-zar' hum taswir-e-marg
tha yahi to mudda'a-e-dard-e-dil
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 63)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.