is tarah se na roliye aansu
is tarah se na roliye aañsū
qahqahoñ meñ bhī gholiye aañsū
ham ne dil kī zamīñ ke badle meñ
apnī āñkhoñ meñ bo liye aañsū
de ke phir koī ġham jagā diije
so liye ḳhuub so liye aañsū
merī āñkhoñ meñ DhūñDhiye na unheñ
apne dil meñ TaToliye aañsū
jab ḳhayāl aayā koī dekh na le
āstīñ meñ samo liye aañsū
tanhā dekhā jo rāh-e-ulfat meñ
mere hamrāh ho liye aañsū
ho ga.e aur mohtaram ai 'kalīm'
āb-e-zam-zam se dho liye aañsū
is tarah se na roliye aansu
qahqahon mein bhi gholiye aansu
hum ne dil ki zamin ke badle mein
apni aankhon mein bo liye aansu
de ke phir koi gham jaga dije
so liye KHub so liye aansu
meri aankhon mein DhunDhiye na unhen
apne dil mein TaToliye aansu
jab KHayal aaya koi dekh na le
aastin mein samo liye aansu
tanha dekha jo rah-e-ulfat mein
mere hamrah ho liye aansu
ho gae aur mohtaram ai 'kalim'
aab-e-zam-zam se dho liye aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.