is tarah se tarjumani kar gaya
is tarah se tarjumānī kar gayā
mere ashkoñ ko vo paanī kar gayā
us ne chehre se haTā Daalā naqāb
aur merī ġhazleñ purānī kar gayā
rakh gayā vo apne kapḌe sūkhne
dhuup bhī kitnī suhānī kar gayā
bhuul jaane kī qasam denā terā
yaad aane kī nishānī kar gayā
do ghaḌī ko paas aayā thā koī
dil pe barsoñ hukmarānī kar gayā
jis pe maiñ īmān le aayā 'asad'
mujh se vo hī be-īmānī kar gayā
is tarah se tarjumani kar gaya
mere ashkon ko wo pani kar gaya
us ne chehre se haTa Dala naqab
aur meri ghazlen purani kar gaya
rakh gaya wo apne kapDe sukhne
dhup bhi kitni suhani kar gaya
bhul jaane ki qasam dena tera
yaad aane ki nishani kar gaya
do ghaDi ko pas aaya tha koi
dil pe barson hukmarani kar gaya
jis pe main iman le aaya 'asad'
mujh se wo hi be-imani kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.