is tarah tujhko chahta hun main
is tarah tujh ko chāhtā huuñ maiñ
zindagī jaise māñgtā huuñ maiñ
us ke baare meñ kyā batā.ūñgā
ḳhud ko bhī kam hī jāntā huuñ maiñ
log to dhuup bhī nahīñ dete
apnā saaya bhī bāñTtā huuñ maiñ
ab tabāhī mirī yaqīnī hai
terā har raaz jāntā huuñ maiñ
maiñ ki har baar qatl hotā huuñ
har siyāsat ko jāntā huuñ maiñ
maiñ kaḌī dhuup meñ kahāñ mahfūz
peḌ huuñ saaya bāñTtā huuñ maiñ
is tarah tujh ko chahta hun main
zindagi jaise mangta hun main
us ke bare mein kya bataunga
KHud ko bhi kam hi jaanta hun main
log to dhup bhi nahin dete
apna saya bhi banTta hun main
ab tabahi meri yaqini hai
tera har raaz jaanta hun main
main ki har bar qatl hota hun
har siyasat ko jaanta hun main
main kaDi dhup mein kahan mahfuz
peD hun saya banTta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.