is tarah wo dhyan mera khinchta hai
is tarah vo dhyān merā khīñchtā hai
jis tarah paise ko paisa khīñchtā hai
maiñ irāda to nahīñ kartā safar kā
kyā kareñ kashtī ko dariyā khīñchtā hai
jis qadar ḳhush lag rahe haiñ haiñ nahīñ ham
ye to tū tasvīr baḌhiyā khīñchtā hai
pahle to bāhoñ meñ bhartā hai vo mujh ko
aur phir dhīme se parda khīñchtā hai
jo mo.azzin ban gayā thā tere dil kā
aaj vo mandir meñ qashqa khīñchtā hai
roktī hai be-safar logoñ ko dahlīz
rāhgīroñ ko tamāsha khīñchtā hai
sarhadeñ bantī bigaḌ jaatī haiñ 'harshit'
jab koī kāġhaz pe naqsha khīñchtā hai
is tarah wo dhyan mera khinchta hai
jis tarah paise ko paisa khinchta hai
main irada to nahin karta safar ka
kya karen kashti ko dariya khinchta hai
jis qadar KHush lag rahe hain hain nahin hum
ye to tu taswir baDhiya khinchta hai
pahle to bahon mein bharta hai wo mujh ko
aur phir dhime se parda khinchta hai
jo moazzin ban gaya tha tere dil ka
aaj wo mandir mein qashqa khinchta hai
rokti hai be-safar logon ko dahliz
rahgiron ko tamasha khinchta hai
sarhaden banti bigaD jati hain 'harshit'
jab koi kaghaz pe naqsha khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.