is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main
is tarīqe ko adāvat meñ ravā rakhtā huuñ maiñ
apne dushman ke liye harf-e-duā rakhtā huuñ maiñ
maiñ faqīrī meñ bhī ahl-e-zar se behtar hī rahā
kuchh nahīñ rakhtā magar nām-e-ḳhudā rakhtā huuñ maiñ
maiñ kabhī tanhā nahīñ hotā sar-e-kunj-e-chaman
vo na hoñ to haath meñ dast-e-sabā rakhtā huuñ maiñ
maiñ ne kam khoyā sivā paayā hai kār-e-ishq meñ
dil jahāñ thā ab vahāñ ik dil-rubā rakhtā huuñ maiñ
jaane kab aa jaa.e vo sahbā misāl-e-fasl-e-gul
is liye vīrāna-e-dil ko sajā rakhtā huuñ maiñ
is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main
apne dushman ke liye harf-e-dua rakhta hun main
main faqiri mein bhi ahl-e-zar se behtar hi raha
kuchh nahin rakhta magar nam-e-KHuda rakhta hun main
main kabhi tanha nahin hota sar-e-kunj-e-chaman
wo na hon to hath mein dast-e-saba rakhta hun main
main ne kam khoya siwa paya hai kar-e-ishq mein
dil jahan tha ab wahan ek dil-ruba rakhta hun main
jaane kab aa jae wo sahba misal-e-fasl-e-gul
is liye virana-e-dil ko saja rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.