is tawaqqo mein shab-o-roz guzara jae
is tavaqqo meñ shab-o-roz guzārā jaa.e
chaḌhtī sāñsoñ kā kahīñ bojh utārā jaa.e
ham sabhī log haiñ paanī kī tahoñ meñ baiThe
mauj tai kartī hai kab kis ko ubhārā jaa.e
apne atrāf ke sannāTe ko bharne ke liye
aa kisī dard ke pahlū ko nikhārā jaa.e
kūcha-e-ishq meñ zaḳhmoñ ke na.e taur bhī haiñ
sar zarūrī nahīñ patthar pe hī maarā jaa.e
hijr ke ma.anoñ meñ ik ma.anī maiñ batlā.ūñ tumheñ
ya.anī dariyā se alag ho ke kinārā jaa.e
niiñd hai ḳhvāb hai aur chāñd sitāre maujūd
raat kā vaqt hai kis kis ko pukārā jaa.e
muḳhtalif rang haiñ is rang kī chāhat meñ asiir
us ke qadmoñ ke ta.āqub meñ nazārā jaa.e
is tawaqqo mein shab-o-roz guzara jae
chaDhti sanson ka kahin bojh utara jae
hum sabhi log hain pani ki tahon mein baiThe
mauj tai karti hai kab kis ko ubhaara jae
apne atraf ke sannaTe ko bharne ke liye
aa kisi dard ke pahlu ko nikhaara jae
kucha-e-ishq mein zaKHmon ke nae taur bhi hain
sar zaruri nahin patthar pe hi mara jae
hijr ke manon mein ek mani main batlaun tumhein
yani dariya se alag ho ke kinara jae
nind hai KHwab hai aur chand sitare maujud
raat ka waqt hai kis kis ko pukara jae
muKHtalif rang hain is rang ki chahat mein asir
us ke qadmon ke taaqub mein nazara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.