is tera sarzamin se misal-e-qamar chalo
is tiira sarzamīñ se misāl-e-qamar chalo
dekho farāz-e-nūr-o-nasheb-e-safar chalo
bāñheñ uThā.e yaad koī dil-navāz yaad
tum ko pukārtī hai sar-e-rahguzar chalo
dekho vo karbalā-e-tamanna hai us taraf
sahrā lahū lahū hai chalo be-ḳhatar chalo
āñkhoñ meñ aarzū ke jalāte raho charāġh
tārīkiyoñ se nuur ugaao magar chalo
kohrām ḳhvāhishoñ kā bapā hai qadam qadam
apnī matā-e-dard liye soch kar chalo
har manzar-e-hayāt yahāñ hai shafaq shafaq
rang-e-hinā se tum na bachā kar nazar chalo
shā.ista-e-bahār hai har manzar-e-ḳhizāñ
naġhmoñ kā shāmiyāna saje naġhma-gar chalo
maiñ shauq-e-nā-tamām huuñ ik husn-e-nā-tamām
mere liye karo na kabhī aañkh tar chalo
is tera sarzamin se misal-e-qamar chalo
dekho faraaz-e-nur-o-nasheb-e-safar chalo
banhen uThae yaad koi dil-nawaz yaad
tum ko pukarti hai sar-e-rahguzar chalo
dekho wo karbala-e-tamanna hai us taraf
sahra lahu lahu hai chalo be-KHatar chalo
aankhon mein aarzu ke jalate raho charagh
tarikiyon se nur ugao magar chalo
kohram KHwahishon ka bapa hai qadam qadam
apni mata-e-dard liye soch kar chalo
har manzar-e-hayat yahan hai shafaq shafaq
rang-e-hina se tum na bacha kar nazar chalo
shaista-e-bahaar hai har manzar-e-KHizan
naghmon ka shamiyana saje naghma-gar chalo
main shauq-e-na-tamam hun ek husn-e-na-tamam
mere liye karo na kabhi aankh tar chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.