is tund-KHu se junhi meri aankh laD gai
is tund-ḳhū se jūñhī mirī aañkh laḌ ga.ī
is dil se aur aql se vohīñ bigaḌ ga.ī
kyā kahiye tere hāthoñ se ai dast-burd-e-ishq
is dil kī bastī baat ke kahte ujaḌ ga.ī
terā to qaul thā ki na hovegī ye tamām
ai saaqī do hī ghūñT meñ bas mai nibaḌ ga.ī
'joshish' likhā maiñ us ko safīne par is tarah
goyā ki bhūlī thī ye ġhazal yaad paḌ ga.ī
is tund-KHu se junhi meri aankh laD gai
is dil se aur aql se wohin bigaD gai
kya kahiye tere hathon se ai dast-burd-e-ishq
is dil ki basti baat ke kahte ujaD gai
tera to qaul tha ki na howegi ye tamam
ai saqi do hi ghunT mein bas mai nibaD gai
'joshish' likha main us ko safine par is tarah
goya ki bhuli thi ye ghazal yaad paD gai
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.