is TuTe hue dil ka sahaara hai tera gham
is TuuTe hue dil kā sahārā hai tirā ġham
hamdard haqīqat meñ hamārā hai tirā ġham
taufīq atā kartā hai rone kī har ik pal
kyā merī tarah dard kā maarā hai tirā ġham
ruḳh moḌ diyā karte haiñ tūfānoñ kā vo log
jin logoñ kī nazroñ meñ kinārā hai tirā ġham
barbād kiyā gulshan-e-hastī tire ġham ne
ai dost mujhe phir bhī gavārā hai tirā ġham
jis phuul kī ḳhushbū se mahak jaa.e gulistāñ
'ġhamgīn' ko us phuul se pyārā hai tirā ġham
is TuTe hue dil ka sahaara hai tera gham
hamdard haqiqat mein hamara hai tera gham
taufiq ata karta hai rone ki har ek pal
kya meri tarah dard ka mara hai tera gham
ruKH moD diya karte hain tufanon ka wo log
jin logon ki nazron mein kinara hai tera gham
barbaad kiya gulshan-e-hasti tere gham ne
ai dost mujhe phir bhi gawara hai tera gham
jis phul ki KHushbu se mahak jae gulistan
'ghamgin' ko us phul se pyara hai tera gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.