is waste adu ko gawara nahin tha main
is vāste adū ko gavārā nahīñ thā maiñ
maarā gayā thā jang meñ haarā nahīñ thā maiñ
mujh se hī mujh ko vaqt ne tafrīq kar diyā
jo tere sāmne thā vo saarā nahīñ thā maiñ
maiñ tere choñchaloñ pe anā kaise bechtā
ai zindagī ġhulām tumhārā nahīñ thā maiñ
pahlū meñ ho jo dil to zarā pūchh kar batā
kal tak tumhārī aañkh kā taarā nahīñ thā maiñ
us shaḳhs se nibāh tirā kyoñ na ho sakā
jis kī vajah se tujh ko gavāra nahīñ thā maiñ
dil hī mirā 'nasīr' baġhāvat pe tul gayā
bāhar ke dushmanoñ se to haarā nahīñ thā maiñ
is waste adu ko gawara nahin tha main
mara gaya tha jang mein haara nahin tha main
mujh se hi mujh ko waqt ne tafriq kar diya
jo tere samne tha wo sara nahin tha main
main tere chonchalon pe ana kaise bechta
ai zindagi ghulam tumhaara nahin tha main
pahlu mein ho jo dil to zara puchh kar bata
kal tak tumhaari aankh ka tara nahin tha main
us shaKHs se nibah tera kyon na ho saka
jis ki wajah se tujh ko gawara nahin tha main
dil hi mera 'nasir' baghawat pe tul gaya
bahar ke dushmanon se to haara nahin tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.