is waste ki dil hai musalsal azab mein
is vāste ki dil hai musalsal azaab meñ
ham pī rahe haiñ zahr milā kar sharāb meñ
mad.hosh is qadar huuñ shab-e-māhtāb meñ
Duube hue haiñ jaib-o-garebāñ sharāb meñ
ai kaash un ko phir tirī āvāz mil sake
naġhme taḌap rahe haiñ jo mere rabāb meñ
vo shaḳhs thā kabhī jo rag-e-jāñ se bhī qarīb
ab vo kisī ḳhayāl meñ hai aur na ḳhvāb meñ
kuchh aql-o-hosh-o-fahm-o-firāsat meñ kho ga.e
kuchh dost ḳhud ko DhūñD rahe haiñ sharāb meñ
kyoñ mujh pe mehrbāñ hai ġham-e-zīst in dinoñ
kyā aisī baat hai mire hāl-e-ḳharāb meñ
ik puḳhta-tab.a rind-e-ḳharābāt hai 'kañval'
vaa.iz jo chāhe aib nikāleñ sharāb meñ
is waste ki dil hai musalsal azab mein
hum pi rahe hain zahr mila kar sharab mein
madhosh is qadar hun shab-e-mahtab mein
Dube hue hain jaib-o-gareban sharab mein
ai kash un ko phir teri aawaz mil sake
naghme taDap rahe hain jo mere rabab mein
wo shaKHs tha kabhi jo rag-e-jaan se bhi qarib
ab wo kisi KHayal mein hai aur na KHwab mein
kuchh aql-o-hosh-o-fahm-o-firasat mein kho gae
kuchh dost KHud ko DhunD rahe hain sharab mein
kyon mujh pe mehrban hai gham-e-zist in dinon
kya aisi baat hai mere haal-e-KHarab mein
ek puKHta-taba rind-e-KHarabaat hai 'kanwal'
waiz jo chahe aib nikalen sharab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.