is waste logon ko sunai nahin dete
is vāste logoñ ko sunā.ī nahīñ dete
ham aah to bharte haiñ duhā.ī nahīñ dete
kuchh dard haiñ aise ki jo chehre se ayaañ haiñ
kuchh zaḳhm haiñ aise jo dikhā.ī nahīñ dete
vo rāste jachte hī nahīñ ahl-e-dilāñ ko
vo rāste jo ābla-pā.ī nahīñ dete
yādoñ kī hai ik bazm sajī ḳhāna-e-dil meñ
is bazm meñ ġhairoñ ko rasā.ī nahīñ dete
ham log ta’alluq meñ bahut saaf haiñ lekin
ham log ta’alluq kī safā.ī nahīñ dete
is waste logon ko sunai nahin dete
hum aah to bharte hain duhai nahin dete
kuchh dard hain aise ki jo chehre se ayan hain
kuchh zaKHm hain aise jo dikhai nahin dete
wo raste jachte hi nahin ahl-e-dilan ko
wo raste jo aabla-pai nahin dete
yaadon ki hai ek bazm saji KHana-e-dil mein
is bazm mein ghairon ko rasai nahin dete
hum log ta’alluq mein bahut saf hain lekin
hum log ta’alluq ki safai nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.