is waste niklun hun tere kuche se bach bach
is waste niklun hun tere kuche se bach bach
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
is vāste niklūñ huuñ tire kūche se bach bach
har ek machātā hai mujhe dekh ke kach-kach
nairañgī-e-qudrat kā vahī diid kare hai
paanī kī tarah ho jo har ik rañg meñ rach-rach
sar par se to mandīl ko ab duur kar ai shaiḳh
gardan tirī is bojh se ab kartī hai lach-lach
nādān hai aisā ki jo dushman mire haq meñ
jhūTī use kahte haiñ to vo jaane hai sach sach
maktab meñ jo kī sair to dekhā ye tamāshā
mullā ke bhī shāgird haiñ murġhe ke se kach-kach
zar hove to ma.ashūq bhī haath aave hai 'hātim'
muflis abas is fikr meñ jī deve hai nach-nach
is waste niklun hun tere kuche se bach bach
har ek machata hai mujhe dekh ke kach-kach
nairangi-e-qudrat ka wahi did kare hai
pani ki tarah ho jo har ek rang mein rach-rach
sar par se to mandil ko ab dur kar ai shaiKH
gardan teri is bojh se ab karti hai lach-lach
nadan hai aisa ki jo dushman mere haq mein
jhuTi use kahte hain to wo jaane hai sach sach
maktab mein jo ki sair to dekha ye tamasha
mulla ke bhi shagird hain murghe ke se kach-kach
zar howe to mashuq bhi hath aawe hai 'hatim'
muflis abas is fikr mein ji dewe hai nach-nach
- Book : Diwan Zadah (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.